Quick Read

5/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Fresh BreakOut In Larsen(LT), CnH Pattern Target ?

Namaskar Dosto, bhut-bhut swagat hai aapka aajke naye blog me..aaj hum Larsen & Toubro yaani apna pyara LT ke technical chart ko discuss krenge aur dekhenge ke aane vaale dino me LT stock ka kya bhavish hain, aur yah stock kaha aur kis disha me yatra karne tayyar ho raha hai. LT me kaun sa pattern ban rha hai, aur banne vaale pattern ka expected Target kya hai.

Blog ke Regular Viewers, Blog se sambandhit jaruri jaankaari post ke aakhir me di gayi hai. kripya usko jarur dekhe.

CNH pattern in Larsen n Tubro

Stock Name- Larsen Toubro Limited
Free Float Market Cap- 195538 Crore
CMP- 1617 (Cash)
CMP- 1601 (Future)

Technical Chart-


LT daily Chart with Fresh Breakout

Dosto, yaha LT ka Daily Chart dikhaya gaya hai, aur is chart me aapko sabse pahle jo dekhne ko mil rha hai uss pattern ko Cup and Handle pattern bolte hai. yeh pattern dekhne me Real ke Cup jaisa dikhta hai aur side side ka curve portion us cup ka handle ki tarah.

Target Calculation- 

Dekhiye technically cup and handle pattern ka target cup ki length ke barabar ka hota hai, lekin kai bar aisa dekha gaya hai Stock sabse pahle Candle ki length tk jaa kar pause leta hai. dosto isliye maine yaha par aapko 2 targets diye hain, First Target 1700 ka jo maine Handle ki length ke barabar maan kar uper BreakOut level se calculate karke mention kia hai. aur Second Target 1830 ka, jo cup ki length se calculate karke saamne aaya hai.

Open Interest Analysis-

Dosto niche aapko LT ka Monthly Oprn Interest and COI (Change in Open Interest ) ka data dikhaya gaya hai. aayege OI data hame kya bata raha hai smjhne ki kosish karte hain.


OI and COI data of larsen


Dosto sabse pahle jo log OI data ki Dunia me naye hain unke liye kuch basic jaankaari.
  • OI Data Future & Options segment ke stocks ka hi dekha jaa sakta hai.
  • Index me Monthly OI data ke sath weekly OI data bhi available rahta hai, lekin stocks ke sirf Monthly data hote hai, kyuki apne yaha Stock ki keval Monthly expiry hoti hai.
  • OI data me Cash ke CMP (Current Market Price) ki jagh F&O ke CMP ki value rahti hai. aur isi CMP se hi ATM Strike ka pata chalta hai.
  • Uper Chart me dikh rahi har candle 20 points ke difference me bani hui hai, yeh difference Stock ke hisab se change hota rahta hai.
  • Uper ki image bhi 2 part me hain, Shuruwati Bars (Uper vale) Open Interest ko show kar rhe hain aur uske niche ke bars Change in OI ko.


Ab tak to hui General information ke Uper image me kya bataya gaya hai, av Apn LT ka Data kya kah raha hai usko smjhne ki kosish karte hain.

  • 1600 ATM strike hai.
  • 1600 CE ki strike me sabse jyada Open Interest khada hua hai, jo Strong Resistance ko dikha rha.
  • vahi Dusri taraf hame PE side hame dur tk koi khas Bada support nahi dikh raha hai. 1500 ki PE filhaal Support deti najar aa rahi hai.
  • Ab yadi hm COI data ko dekhe to PE side se game Change hota dikh rha hai, aap dekhenge to aapko pata chalege ke Mostly hr strike se Open position band ho rahi hai. jise hm PE unwinding kahte hai. iska matlb hai ke PE side dheere dheere apni position uper ki taraf shift kr rhe hain.
  • Fresh PE addition 1500 ki strike me hai, Is strike ko aap support smjhe.
  • Aur aap ab CE side ka COI dekhe, yaha se bhi aapko CE side ki strike se Open position km hote dikh rhi hain, iska matlb CE writers apni position band karke uper ki strike me switch ho rahe.
  • Ye sab ko apn combine karke dekhe to PE writers confident hokr fresh position bana rahe aur CE writers apni position band karke bhaag rhe. iska Seedha matlb hai ke Stock Bullish hai.

Conclution-

Larsen me 1600 ke uper rahne par hm Fresh teji dekh sakte hain. aur jaisa ke humne Chart me C&H pattern dekha uske hisaab se bhi hamara BreakOut level 1590-1600 hi hai. aur Targets hamne uper discuss kare hi hain.Uper bataye gaye target Cash segment ke liye hai, futures me ye price Premium price ke kaaran kuch points upe niche ho sakte hain.
Kripya bina stoploss ke trade kabhi na kare aur kisi bhi prakaar ka trade lene se pahle hamra Disclaimer jarur padhe.

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Dosto apne aakiri tak post padhi uske liye bhut dhanyawaad🙏🏻. Dosto aaj mujhe aapko aapke apne Blog Chartanalystji se related kuch jaruri jaankaariya deni hai. Dosto aapne dekha hoga ke main yaha par regular basis par blog post nahi kr rha tha. uske kai saare reason the unme se kuch kaaran aur unka maine kya upaay socha hai aapko niche points me share karta hu..


1. Dosto main Suddha Hindi likhna pasand nahi kr rha tha, kyuki suddha Hindi me content likhne me bhut time lagta hai aur main utna samay is blog ko nahi de paa raha tha. aur is kaaran hi har blog me main aapko jitni jaankaari dena chahta tha utna nahi de paa rha tha.

2. Dosto main apne is blog ko Pure English blog bhi nahi banana chah rha tha. aur ek kaaran yah bhi hai ke dosto english ke jaankaar log share market kahi se bhi seekh sakte hain lekin jo log sirf Hindi jaante hain unke liye share bajaar se sambandit jaankaari paana hamesha se hi muskil raha karta hai. Main aise logo ki help karna chah rha tha. isliye maine apne blog ko hindi me rkha tha.

3. Ek aur point, jo main aapko apni family maan kar share karna chunga, ki Mujhe blog se filhal koi earning nahi hai, aur viewers bhi bhut jyada nahi hai to motivation nahi mil rha tha. Is Kaaran bhi yaha main km active tha.

Dosto In sab problem ke kaaran maine ek solution yaa aap isko experiment kah sakte hain try karne ka socha hai, jiske anushar maine decide kiya hai ke aaj se apka apna blog Chartanalystji Hinglish me rhega. Hinglish yaani Bhasa Hindi lekin likhawat english me. jaisa ke hum sabhi log istemaal karte hain. isse mera samay bhi bachega aur main aapko jyada knowledge kam samay me de paayunga. Aasha hai dosto aap mera sath denge aur is naye tarike ko pasand karenge.


यदि आप भी अपना डीमैट DEMAT अकाउंट घर बैठे ही खुलवाना चाहते है तो इस लिंक Open Online Demat Account पर क्लिक करके आसानी से खुलवा सकते है |

Disclaimer- Above views are personal not trading advice. please consult with your financial advisor before Trading/Investing into them.

एक टिप्पणी भेजें

1 टिप्पणियाँ